Song:
Insaan tu, Allah hu, Nadaan tu, Allah hu
Insaan tu, nadaan tu, hairaan tu anjaan tu
Ke sun Khuda ka gargarata aaj ik ailaan tu
Tu ne mere sansaar ko murde ke jaisa ker diya
Haan ker dia, haan ker dia
Ke dekh dikhlata hoon main do dil ye seena chaak ker
Mein do dewaane bhaijta teri zameen-e-pak per
(Hawa ki beti hai isse laila bhi bola jaaye ga
Adam ka beta hai ye Majnu bhi ye kehlaye ga)
In ki kahani ko zamaane tab talak haan gaaye ga
Ke jub talak wo hosh main wapis nahi aa jaaye ga
Tu jaan le teri zameen per main ne hi pug dhur dia
Haan dhar diya haan dhar diya
Raavi: Ye har nagri ki baat yaar, yeh har kuche ki baat yaar
Par kis nagri ki kaun sa kucha theek thaak malum nahi
Jo baat hume maaloom wo yeh
Ke rehte dono saath saath, who din ho ya ke raat raat
Ab kaun sa din aur kitni raatein, theek thaak maaloom nahi
Jo baat humain malum wo ye
Ke Aalim, Fazil, Qabil jab kehte they usko cheekh cheekh
Ke sabaq khudayi ka padh le, O na muraad le seekh seekh
Maulana: Ke likh de tu Allah
Raavi: Wo likhta tha Laila
Maulana: Aray main bola Allah
Raavi: Laila Laila Laila
Maulana: Aray dosakh mein jaaye ga tu kya Laila Laila karta hai
Ek haad maas ki putli ka Allah se maila karta hai
Tu haat badhaa, tadtad
Ab dooja bhi, tadtad, tadtad tadaakh tadtad tadaakh tadtad tadaakh tadtad
Laila: Na maaro, chot lagti hai na maaro
Na maaro, chot lagti hai na maaro
Chun mun si kanpti hatheli dekho
Puchkaaro, chot lagti hai na maaro
Umme Laila: Aray ajab gajab ye kudrat hai ya shaitanon ki harkat hai
Ke chot ise aur dard use ke khoon behta hai iska sung mein
Ke kaun saa hai ehsas usse.
Abu Laila: Aray jaado tonah anhoni, na laana iske paas usse
(Inko door door le jaao, inko door door le jaao
inko door door le jao, inko door door le jao)
Abu Majnu: Yeh alaa balaa ka tona hai ya bhoot preet ki karni hai
Aray bulao molvi baazu pe dhaaga kaala bandhvaao
(Inko door door le jaao, inko door door le jaao
inko door door le jao, inko door door le jao)
Raavi: Door le jao
Scene change
Raavi: Patang sang ud gaya bachpan, jhanak jhanak mann, dagar suhani re
ladakpan aaya ab to kasak masak, ye kya mastaani re
aray kya haaye, jawaani ki hoti hai yehi nishaani re
ke chitvan tirchi tirchi hui jaaye, haan aayi jawaani re
Song
Ladka: hoye, jawaani aayi, saath mein laayi
pawan ke sang sang
har ang chale hitchkole leke
gagan ke rang se, ude hain gagree
lagee umraahi, chali purvaai
main hun tera Romeo tu meri hai wahi Juliet
aray main Ranjha tera, tu meri hai Heer
Soniye mil ja mele mein, ke iska naam jawaani (aaha)
ke jo na main hun tere sang to phir kis kaam jawaani (oho)
aray wo nahi jaante hoti hai jis kaam jawaani (aaha)
tabhi to hoti hai har baar ye badnaam jawaani (aaha)
sohniye mil ja mele mein haaye( ke iska naam jawaani,,, mil jaa)
Ladki: Aray Khurja ki khurchan, aray Mathura ke pede
rewari Meerut wali, chaat daree baanki laayega (aaha)
aray main hukum karoon to door Arab se,
poora baagh khajoor laad ke, aangan mein bharpoor,
tu mere lagvayega
Ladka: Aray lagvaaunga, lagvaaunga, lagvaaunga
Banaras ke ikke mein, ho Ganga teer chalenge
Barf ki dhoop soonghne, aray Kashmir chalenge
Aray kaise bhi hon haalaat, ke tujhko ghuma laaun Baghdad
Ye mera waada jaanam, aray ye chunri Bikaner,
Ke surma, jhumka, mehndi dher, ye mera waada jaanam
Ladki: To phir tu mil ja mele mein, ke iska naam jawaani (aaha)
Nahi ye chhotta maslaa, bohat badaa hai kaand jawaani (aaha)
Aray ye sarpat sarpat ghori meri jaan jawaani (aaha)
Aray ye ghar ki murgi, nahi ye chhutta saand jawaani (aaha)
Ladka: Soniye mil jaa ( maile mein, ke iska naam jawaani (aaha))
(ke jo na main hun tere sang to phir kis kaam jawaani (oho))
soniye mil jaa
Ladki: Sohnia mil ja mil jaa mil jaa
Ladka: Sohniye mil jaa sohniye mil jaa
Majnu: Is pal main hoon, ya tum bhi ho
Laila: Ya dono ho ke bhi na hain
Majnu: Kyon ho kya ho, ho bhi k na ho
Laila: Ya kehna sunana manaa hai
Majnu: Is pal main hoon ya tum bhi ho
Laila: Ya dono ho ke bhi na hain
Majnu: Tum bata do yaad koi, kya puraani leke aaun
Yaa nishani deke jaoun, yaa kahani leke jaaun
Laila: Piya k mun ko chor doon?
Jaaye ye jaata, jaata jahan hai
Laila: Main Laila, tum Qaiss. Kahi hai baat Khuda ne kanon mein
Majnu: Haan jaan, ke ab ye baat rahegi sadiyon tak zubano mein
Song
Majnu: Is pal main hoon, ya tum bhi ho
Laila: Ya dono ho ke bhi na hain
Majnu: Kyon ho kya ho, ho bhi ki naa ho
Laila: Ya kehna sun-na manaa hai
Majnu Is pal main hoon
Tabrez: Neech zaat badzaat! Neech zaat badzaat!
Yeh tera haat kaatdoonga mein,
O napaak! tujhe maloom ki tune kisse chuua hai?
Majnu: Wo meri hai
Tabrez: Keede tu harraam, keede tu haram,
Ke tera naam zaat, har kaam kaat, sham shaan ghaat ke naam,
Agar mein nahi karoon to?
Agar mein nahin karoon to naam mera Tabrez nahin kuch aur,
yeh meri behen nahi kuch aur, ke ab bas sehen nahi kuch aur!
Majnu: Wo meri hai.
Tabrez: Aray ab bas, aray ab bas.
Karen kuch sharam haya ki baat, teri auqaat bataoon tujhko
Tu hai na murdon ki zaat, bund kumre ki hai soghat
Ukhare moon seene ko khol, dupatte ko be jaa be mol
Aankh main besharmi ko ghol
Gaair ke badhan ko chuuthi hai saali badzaat.
Majnu: Haath ko bheench, ley khud ko kheech
Haath ko bheench, ley khud ko kheench.
Arey mat bhool ke naamaqul ki tuney usse chuua hai
Jo hai mera band junoon, meri rug rug mein behtha khoon,
Arey jo meri dua hai
Arey jo qudrat ka farmaan, masihaa ka hai jo elaan,
Khuda ka daan meri har dard dava hai
Jiske aansoo hain anmol, ke jiske muscaan kaa na tol,
Ke sun le Qaiss raha ye bol, k wo meri Laila hai
Tabrez: Naam ne la uska main tere hont raakh ye kerdun ga
Majnu: Jis raakh main mila laila ka naam main sur aankhon main bhur loon ga
Tabrez: Tu aise na maane ga talwar nikaal chal
Laila: Bhai tu mera sagaa hai abba dil-o-jaan se pyare
Ammi jaan mein dil atka hai
Mager maloom nahi kya hua bhai aik aurat ander chilaai
Ke chua kisi ne, Us ko chua kisi ne
Saare sawal bun k ubaal kafoor huye bhai
Wo aurat baithi thi ab khudi ho gui, choti thi ab budi ho gui
Aaj usse ehsaas hue k zehen chudhi hararat hai
Wo ishq naam ke qalam se likhi aik pur zor abarat hai
Wo raat sharam ki putli hai to sooraj chudhe qayamat hai
Wo chor khuda k nahi kisi k taish se durti hai bhai
Aur jaan sake to jaan k laila qais pe murti hai bhai
Ye qais pe murti hai bhai ye qais pe murti hai bhai
Tabrez: Teri jurrat
Laila: Nahi, himmat .
Tabrez: Teri harqat
Laila: Nahin, taaqat
Tabrez: Tu hai hayaa ki puthli bas
Laila: Par naa hoon dayaa ki puthli bas
Tabrez: Mein kabr khod doonga, iski tu kharaa soch lena
Laila: Par laash lagengi do do bhai, zaraa sochle na
Tabrez: Kasam mein khaata hoon ki kissa khatam karoonga aaj,
Tere sau tukde karke Majnu mein hazaar cheethade ker doon ga,
Hazaar cheethade ker doonga, hazaar jeethade ker doonga.
Tu kut jaaye ga neech
Majnu: Rok
Tabrez: Tu mit jaayega neech
Majnu: Rok
Tabrez: Ye tera khoon
Majnu: Rok, Rok
Tabrez: Ye mujhe chahiye
Majnu: Rok, Rok
Tabrez: Ye ghussi meri talwaar, ye tere paar ke bas tu pohanch gaya shamshaan
Majnu: Laila mujhe maaf ker dena,
Ke mein tujhe yaad ker ke bebas majboor tha meri jaan
Naqarchi: Majnu hai majnoon, ke us ne kiya kisi ka khoon ke us ko saza mile gi
Patthar se mara jaaye ga ye kehta hai kanoon ke jab tak saans chale gi
Song
Ravi: Laila ki saans ki dor bandha wo deewana wo majnu hai
Wo hosh nahi behosh baawara nahi jaanta wo kyon hai
Behosh use rehne do, k hosh mein wo aaye ga
To neend mein us ki laila ka, wo khwaab tut jaye ga
Wo khwaab tut jaye ga, wo khwaab tut jaye ga
Laila: Koi pathar se na maare, koi pathar se na maare,
Mere deewane ko, deewane ko
Koi pathar se na maare, koi pathar se na mare,
Mere deewane ko, deewane ko
Majnu: Rakhna sambhaal ke ye patthar, kal ko wo din bhi aaye ga
Jab patthar honge yeh makaan, inke bhi hogi ek zubaan
Ke dastaan-e-laila majanu, shakhs shakhs dohraaye ga
Patthar ka dher ye aaj, ye kal ka tajmahal kehlaaye ga
Laila: Nahi mil payega, nahi mil payega, phir waqt tumhein pachhtaane ko
Koi patthar se na maare, mere deewane ko, deewane ko
Koi patthar se na maare, koi patthar se na maare,
Mere deewane ko, deewane ko
Raavi: Aray ab bas, garaj ke Laila boli
Ye araj nahi hai garaj garaj ke Laila boli
Theek yehi hai shart agar, mein nikaah karoon gi aaj,
Theek yehi hai shart agar, mein nikaah karoon gi aaj,
Pur Majnu ko abba nikal do is sheher se bin awaaz
Iss sheher ke saare pathar bhi ab thakke pade hain bechaare,
Jo tujhe jaanke maare Majnu mujhe pade hain bechaare
Jawaan bakth ko badan diya, par dhadkan chode jaati hoon
Rakhna sambhal ke Qaiss aaj se zinda bhar kehlati hoon
Par kasam ke tum bin jo bhi mere badhan ko chuune aayega,
haad maas ke badle mein mitti ka tiila paayega
Aane waale kal main ye sunsaar dura chilaye ga
Jab kabr hamaare phool chadhaane Khuda zameen pe aayege
Jab Khuda zameen pe aayega, jab Khuda zameen pe aayega
Umme Laila: Churi mehndi ka laip lagaye deti hoon
Surkh bhabhakti maang sajaye deti hoon
Iss doli mein ek sajji laash hai
Dheeme le jaana, mein kahaar ko ye samjhaaye deti hoon
Raavi: Ho Jo nahi chadhi kaandhe kahaar ke,
Phir bhi dulhan kehlaayi, Radha Meera ki doli hai ,
Ishq ishq ye ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
Ye ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq
Radha Meera ki doli hai
Ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
O, na Ghaalib Momin ki zubaan, na insani ye dastaan, uper se aayi boli hai
Ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
Ye ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq
Uper se aayi boli hai
Ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
Jawan Bakht: Mein Jawaan Bakth ye mera takth,
Mere mehlon mein har aurat aish se rehti hai
Par teri ghazab jawaani hai, tu haram ki meri raani hai,
Sona chandi to paani hai nehla doon tujh ko
Ke ab na hota intezaar, mein bolunga bas ek baar,
Ke aaja mere aas paas, sehla doon tujhko
Laila: Tu mard badan yeh sard kuchal de is ko
Na jalan na is mein dard nauch le is ko
Ke raakh badhaa ke haath udaa de is ko
Ye mitti ki mitti mein milaa de is ko
Ke is mein aag zara bachna kahin tu jal na jaaye,
Ke ye rassi hui jo khaak magar na bal na jaaye.
Jawan Bakht: Aray mein shauhar hoon tera, na tera yaar na tera chaila hoon
Laila: Mein biwi hoon teri, aur apna Majnu ki mein Laila hoon
Jawan Bakht: Ye Majnu kaun hai chobdaar
Wo door sheher se rehta hai buss Laila Laila kehta hai
Pathar ke ghao hain khoon bhure, jis main se buss khoon behta hai
Jawan Bakht: Sippe salaar, buss aagah karo, ab chalne ki taiyaari,
Mein dekhoon is ke yaar ko, sung mein dekhoon in ki yaari
Laila: Yaari dekh ke darr jaayega pehle yahaan dekh,
Us ke khoon se mera badan ranga tu jahaan dekh
Raavi: Wo khusru ho ya Bulleh Shah har shakhs jalaa hai khamakha,
Jis ne ye aag tatoli hai,
Ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
Ye ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
Jis ne ye aag tatoli hai ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
Jawan Bakht: Ke aata hai ye Jawaan Bakth ke dekhoon Majnu tu ooncha,
Ya tujh se ooncha mera takth
Majnu: Laila ka maalik ho ke bhi chillaata kyun hai?
Jo ishq nahi aata aashiq kehlata kyun hai?
Wo Khuda ki li angdaayi hai, woh pyaar ki ek parchaayi hai,
Har jang ke jis mein khoon bahaa us ke aage sharmaayi hai
Jab paap badhe insaan na samjha kya ghalalti ho aayi thi,
Aray haqiiqat mein us ko ik Laila na mil paayi thi
Ab mil paayi hai to us ki kuch qadar nahi insaan tujhe,
taareekh yaad kar lena, hona na pad jaaye kurbaan tujhe
Raavi: Ye sabhi mitaa de mit jaaye, ya sabhi lutaa de lut jaaye,
Pur na phelaayi jholi hai
Ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
Ye ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
Pur na phelaayi jholi hai
Ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
Ye ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
Jawan Bakht: Wo shamshaan hai tera
Majnu: Wo imaan hai mera
Jawan Bakht: Wo quatl-e-aam hai tera
Majnu: Wo anjaam hai mera
Jawan Bakht: O teri boti kat jaaye gi
Majnu: Us ke sadke mein jaaye gi
Jawan Bakht: Tujhe mein kaat baant doon aa
Majnu: Laila bhi jaayegi saath
Jawan Bakht: Usse mein pehre mein rakhoon ga,
Usse mein pehre mein rakhoon ga
Teri yaad phatak naa paaye,
Kuen mein gehre mein rakhoon ga
Majnu: Jitna bhi gehra khod kuan wo nahi tujhe mil paaye gi
Mein jahan chod ke jaaon ga, wo wahan chod ke aaye gi
Le maar
Jawan Bakht: Meri kataar
Majnu: Aray tu maar
Jawan Bakht: Soch le tu ek baar
Majnu: Tu maar
Jawan Bakht: Soch le tu ek baar
Majnu: Tu maar
Jawan Bakht: Meri kataar
Majnu: Aray Tu maar
Jawan Bakht: Soch le tu ek baar
Majnu: Aray tu maar
Jawan Bakht: Meri kataar
Majnu: Aray Tu maar
Laila: Ae Majnu mein hoon tiar
Raavi: Brahma gyaan ko maano, ya geeta ke gyaan ko maano,
Bible, Quran ko maano ya Guru Granth Mahaan ko maano
Lekin bina pyaar ke maano ge to thak jao ge yaar pyaar ko maano
Pehle Pyaar bhari, insaani zubaan ko maano
Ikhtitam